Showing posts with label chai. Show all posts
Showing posts with label chai. Show all posts

Friday, 8 November 2019

Samne Wala Ghar

Pehli Shyam Jab Socha Ki Khayalon Ko Kuch Alwfaaz Diya Jaye

Aaj laptop pe kaam karte hue nazar uthake dekha to samne wale ghar ki balcony mein seedhe nazar gayi. Achanak se dhyaan aya wo jo aunty wahan khadi raha karti thi wo ajkal dikhti nai. Socha umar to ho hi chali thi aur kuch din pehle maa ne kaha tha kisi ki us building mein death ho gayi hai socha kahin wo hi to nahi, phir socha arey aise kaise, abhi kuch din pehle hi to dekha tha, lekin wo kuch din kitne din pehle tha??? 

Apne beete hue lamho ko bhulane mein itni wyast ho gayi hun ki aas paas kya kya badal gaya hosh hi nai raha… phir uthke gayi kuch samaye balcony mein chai ki chuski lete hue bina kisi soch ke sukun se beetaya, khayal aya kitna kuch dekha hai yahan… poora bachpan, jawani, behan ki doston ke sath bhaga dodi, mere doston ka guzarna…. Kuch uncles ka muskarana jo ab kahin ojhal se ho chuke hain… phir papa ne andar se awaz di… Raka… to socha inke sath bhi waqt beetaye hue kitna samay ho gaya… papa retire huye phir mere niji ghatnao mein itne wyast ho gaye ki kab unke chehre pe budhape ki jhalak aagayi pata hi na chala… socha chalo ab kuch din naukri se fursat milegi to inke sath waqt beetaungi… wo din ke intezaar mein aaj likhna shuru kiya… dekhte hain kuch chehre aur pal is zindagi se lafzon mein utar pati hun kya nahin… acha ek aur baat, behan ayi hai Diwali ki chutti pe… uske bina Diwali, Diwali nai lagti….